March 29, 2024

Easy Way To Earn Money Online In 2021 | घर बैठे कमाओ

Easy Way To Earn Money Online In 2021

Easy ways to make money online 2021, Ghar baithe kamaane ka tareeka, Easiest Way to Make Money Online in Hindi, online paise kaise kamaye…

Easiest Way to Make Money Online 2020

Hello!
Ikkisvi sadi mein sab kuch badal raha hai
kamaane ke tareeke badal rahe hain
issi badlaav mein, aapka fayda karwane aaya hu
ghar baithe kamaane ka tareeka batane aaya hu
aaj ek aisa career option aapke liye leke aaya hu
jiska aaj bhi scope hai, aur future mein bhi bohut scope hai
aap chahe student hain, housewife hain,
aap already kamaa rahe hain
lekin ek side income chah rahe hain
ek part-time income chah rahe hain
ye phir aap padhayi kar chuke hain aur
opportunity ki wait kar rahe hain
aap sabke liye ye blog hai
jisme aap ghar baithe kamaa sakte ho
doston jis dumdaar concept ki main baat kar raha hu
usko kehte hain – Affiliate Marketing
Amazon, Flipkart, aur hazaaron aisi companies
apni marketing affiliate marketing ke through bhi karti hain
ab dekhte hain hum issey kaise fayda le sakte hain
pehle, ye samjhte hain affiliate marketing hota kya hai?
doston, affiliate marketing mein 3 parties involve hoti hain
ye hai ek Merchant, jiske pass product hai
maan lijiye example lete hain – Amazon
aur ye rahe aapk yaani ki Affiliate
ye merchants aapke through apne products
Consumers ko bechte hain
aap, dusron ko alag-alag tareeko se
in merchants ke products ke baare mein batate hain
aur jab ye log products khareedte hain,
toh aapko isme se ek commission milti hai
aapki earning hoti hai
ab ye poori chain kaise kaam karti hai?
kaise log isme se lakhon rupaiye har mahine
kamaa paa rahe hain?
kaise aap bhi isme se lakhon kamaa sakte ho?
ye saari baat hum iss mein discuss karne wale hain
doston aapke career ki baat hai ye koi mazaak nahi hai
isliye main aapko batana chahunga ki affiliate marketing
ka scope kyun hai?
kyun ye ek important career hai?
phir main aapko bataunga kaise
aap isko kar sakte ho, step-by-step
aapko explain karunga
2021 mein hamare desh mein jo internet users honge
wo honge 65 crore hongen.
matlab jo G7 countries hoti hain
G7 countries yaani
duniya ki 7 sabse badi economies
un 7 countries ki jo total population hai
ussey zyada hamare internet users honge
matlab, hamare internet users ki abaadi
in 7 deshon ki poori abaadi se zyada
itna scope hai future mein
so jaise-jaise hamare desh mein
internet users badh rahe hain
natural si baat hai, zaahir si baat hai..
waise waise e-commerce badh raha hai
aur e-commerce ka 15 se 20 percent
affiliate marketing ke through hota hai
matlab 2016 mein
jo 700 crore ka industry thi affiliate marketing ki
wo 2021 mein
6000 crore ki ho jaayegi
itna bada rise aane wala hai
aap iska fayda lene wale ho ya nahi?
so ye ek dying business nahi, ye growing business hai
dukaano mein manda chal raha hai
digital pe dhanda chal raha hai
dukaane band ho rahi hain
kyunki dukaane digitally shift ho rahi hain
log ghar baithe dimaag laga rahe hain
paisa kamaa rahe hain
aap ye point dekho, iss trend ko dekho
iss research ko dekho
ki har company affiliate pe aa gayi
jitne retailers hain – Flipkart, Amazon, Snapdeal
sab affiliate kar rahe hain
travel sites – MakeMyTrip, Yatra, Airbnb
kayi site, health sites, bank sites, insurance sites
Policy Bazaar, matrimonial sites
umm.. apni Shaadi.com, Jeevansathi.com
ye bhi affiliate marketing ke through chal rahe hain
coupon sites – Groupon jaisi sites
yes sab affiliate marketing kar rahe hain
har company affiliate mein aayi hai
inko scope nazar aa raha hai
kyunki inki advertising cost kam ho rahi hai
aur aapka bhi fayeda, inka bhi fayeda
so, 2020 mein takreeban
har company
har achi company affiliate mein aa chuki hai
so 2021 se bohut bada daur shuru hota hai
jiska benefit hum le sakte hain
500 rupaiye se le ke 5 lakh rupaiye mahina
already log kama rahe hain.
Delhi ke Kunal Choudhary mahine ka 10 se 15 lakh
affiliate ke though kamaa rahe hain
India mein aise kayi naam hain jo ghar baithe
laakho kamaa rahe hain, ab aap
aaj ya toh iss mauke ko gawaa loge
ya toh khud ko banaa loge
ab mauke ko gawana hai ya khud ko banana hai
aaiye jaante hain aapko karna kya hai
doston, pehle step ki baat karta hu
step 1 hai – category ko choose karna
Choose a Catgory
agar toh ye hota 2012,
purana zamaana chal raha hota
toh main aapko kehta, doston aap koi bhi affiliate join karlo
koi bhi product ko bech do, chalega
lekin ab hum hain 2020 ke end mein
2021 ki shuruwat kar rahe hain
ab, smartly chalna zaroori hai
main aapko tip de raha hu jissey aap
quickly, smartly, jaldi success tak pohuch paaoge
ki aap koi ek category choose karlo
isko hum ‘niche’ kehte hain
niche matlab, poora samandar nahi,
ek portion pakadna aur usme expert banna
so, koi ek niche apne liye choose karlo, koi ek category
category koi bhi ho sakti hai
books ki category ho sakti hai
fashion related ho sakti hai
fashion mein bhi shoes, jackets, bags,
kuch bhi ho sakta hai, watches ho sakti hain
mobile phone, electronics, laptops
health related, fitness related, life related
mobile apps related, blogging related
web development company se related
bohut saari categories hain
aap koi ek category choose kar sakte ho
aapko ek tip deta hu, kya kar sakte ho
aap kisi bhi category ke best sellers dekh sakte ho
ussey aapko idea hoga konse products
zyada chal rahe hain
konse products hain jo demand mein hain
so, step 1 hai aapko apne liye koi ek
category choose karni hai
general nahi chalna, niche pakadni hai
second step hai khud ko as an affiliate register karna
Register as an Affiliate
aap jis site ke liye affiliate markteing karna chahte ho,
jinke products ko affiliate marketing mein bechna chahte ho
Amazon, Flipkart, Snapdeal, ya jo bhi site
aapko inki sites pe link milega
“Register as an Affiliate” ya “Become an Affiliate”
aap isko click kar sakte ho aur
khud ko as an affiliate marketer register kar sakte hain
ya phir aap affiliate network pe register kar sakte ho
affiliate network kya hai?
affiliate network matlab ek
ek tarah ka shopping mall hai
saare merchants aapko yahin mil jaayenge
aapko alag-alag merchants ke sath register nahi karna padega
aap kisi ek affiliate network ke sath jud gaye
saare merchants unke saath jude hain
India mein kayi leading affiliate networks hain
jaise ki Vcommission, Optimise, CueLinks
jab aap inke affiliate marketer ban jaate ho
toh aapke paas option aa jaati hai
kisi bhi product ka ek link generate karne ki
jiske through aap iss product ko aage bech sakte ho
sell kar sakte ho
woh link ke through aap paise kamate ho
har cheez tracked hoti hai
saara kuch software based hota hai
in fact, Amazon pe jaise ke banda aapke through aaya
lekin usne purchase nahi kia
but within 24 hours, kuch bhi uss site se khareeda
uski commission bhi aapko aati hai
ab third aur bohut important point
ki bechna kaise hai?
category choose karli, affiliate register ho gaye
asli baat – bechna kaise?
logo tak apne product ko pohuchane ke
bohut saare tareeke –
tareeka ho sakta hai apni site banana, uspe blog likhna
tareeka ho sakta hai social media
YouTube ki videos, Facebook, Instagram, LinkedIn
inki posts ke through
Twitter ke through
tareeka ho sakta hai SMS ya WhatsApp ke through
logo tak apni baat ko, apne product ko pohuchana
tareeka ho sakta hai email
lekin main aapko suggest karuga
ki aap apni site zaroor banayein
site banani koi mushkil cheez nahi hai
aaj ki date mein site banani bohut aasaan hai
bohut saare tutorials aapko internet pe mil jaayenge
bohut saare tools aise mil jaayenge jinke saath aap
bohut easily website bana sakte ho
agar aapne apni site bana li
toh aap social media ko bhi link kar paaoge
aap email list bhi create kar paaoge
aap WhatsApp marketing bhi kar paaoge
ye site aapki main cheez hogi, aapka main blog hoga
ye majorly maximum bloggers
yehi tareeka use karte hain
tried, tested, successful tareeka
main aapko example dikhata hu
dekho kaise log kaam kar rahe hain
ye site dekhiye, ShaverGuru.com
niche ke upar kaam kia hai, sirf shavers
shavers ki segment pakdi
har tarah ke shaver ka review hai
har tarah ke shaver ka comparison hai
Braun ke, Philips ke, Panasonic ke, Remington ke
shavers ki details hai
koi ek shaver click karo aur dekho
shaver ke baare mein likha hai
aur saath mein ‘Buy Now’ ka link hai
ab internet pe shaver related kuch bhi search karo
yeh site aa jaati hai
log yahin se review padhte hain
“Buy Now” se Amazon pe jaate hain
aur iss shaver ki value ka
10%, 15% commission usko jiska ye blog hai
chaliye koi live example dekhte hain
main search karta hu
“latest phones under 10000 in India”
ab ye site hai Digit.in
isme mein Subhrojit Mallick likh dia ki
kon-kon se best phone hain
jo under 10000 hain India mein
aap phone ke features padho, specification padho
information lo, information di hai
saath mein cost hai, aur “Buy Now” ka link hai
aise chal rahi hai affiliate marketing
na dukaan khadi karni hai, na dukaan pe baithna hai
na haddi ki tension, na galey ki tension
aap baith ke link laga rahe ho
information de rahe ho, log aa rahe hain,
cheezein khareed rahe hain, bech koi aur raha hai,
bana koi aur kar raha hai, supply koi aur kar raha hai
aap ek affiliate marketing.. ek beech ka link ban ke
apni 10-15% commission har product se le rahe ho
ab maine aapko kaha tha na har cheez link ho sakti hai
ye site hai SuggestPhone
isme product hai, affiliate ka link hai
uske baad, option hai ki agar aapko aur deals ki
knowledge chahiye, toh aap humein WhatsApp kijiye
hum aapko update karte rahenge
ab aapke paas koi banda aaya
aapne uska contact le lia
future mein bhi, aap products ke links unko
bhejte reh sakte ho, wo interested hain
wo jab bhi khareedenge, aapko commission milti jayegi
so dekho smartly chalo toh kitni options hain
blog toh aapne banaya
affiliate marketing toh kar rahe ho
lekin sath mein contact le lia, email le lia
number le lia, toh aap options badhaa rahe ho
kabhi unko WhatsApp pe links bhej diye
kabhi email kardia naye product ke baare mein
same apni traffic ko aap maximum sale kar paate ho
toh maximum earn kar paate ho
agar site nahi banani toh
social media ke though bhi kar sakte ho
YouTube pe search karke dekhte hain
“compare watches hindi”
ab ye pehli video aayi hai Tech Guide ki
isko click karte hain
video ke andar reviews hai, comparison hai, aur neeche
dono links hain
aapko jo bhi ghadi acchi lagi, aap khareed sakte hain
aise he Facebook pe bhi hazaaron examples hain
yeh page dekhiye – Running Shoes Guru
running shoes category pakdi hai, niche pakda hai
general category nahi pakdi
ye Facebook pe bohut active hai
shoes ke updates daalte rehte hain
aap details ke liye inki site pe jaate ho
aur wahan pe buying ka link hai
yeh bhi affiliate marketing hai
iss level pe kitne tareekon se affiliate marketing ho rahi
so dekhiye kitne angles se, kitne tareekon se
kitni innovations, kitna scope hai
affiliate marketing mein, lekin ek cheez
dhyaan rakhna, yaad rakhna, zaroori hai
ki ussi product ke baare mein, logo ko recommend karo
jis product pe aapko vishwaas hai
agar pata hai product theek nahi hai
lekin paise ke chakkar mein, profit ke chakkar mein
logo ko bata rahe ho, toh galat hai
business paise se nahi chalta, vishwaas se chalta hai

logo ka nuksaan karke
aap kabhi fayede mein nahi reh sakte
business, paise se nahi, vishwaas se chalta hai
so chahe aap apne blog ki website banao
YouTube pe videos banao, Facebook pe page banao
post daalo, ya fir WhatsApp pe
logo ko messages bhejo, ya emails bhejo
bohut saare tareeke hain products ko
logo tak pohuchane ke
kaise aap products ko place kar sakte hain
quickly aapko batata hu
ek product ko logo tak pohuchane ke
kayi tareeke hain, aap apni site pe, apni video mein,
ya apni post mein kisi product ko review kar sakte ho
review kisi ghadi ko kar sakte ho
uss ghadi ke baare mein kya logo ka kehna hai
kya opinion hai, kya comments hain,
kya accha hai, kya bura hai
koi car ke baare mein, kisi property ke baare mein
mobile ke baare mein, laptop ke baare mein
aap reviews daal sakte ho
iske alawa, aap “how to” kar sakte ho
yaani ke, kisi cheez ko samjhaate huye
products ka zikar kar sakte ho
for example, how to lose weight
usme aap bata sakte ho ye wala
particular powder hai, ya phir
yeh wali koi oil hai jisko use kia ja sakta hai
how to click a portrait photo
usme aap lenses ke baare mein daal sakte ho
ki yeh wala lens use kar sakte hain
isko buy kar sakte hain
aap comparisons daal sakte ho
hum bhi koi product khareedte hain
toh compare karna pasand karte hain
aap logo ki iss problem ko solve kar sakte ho
unko poora comparison de sakte ho
kayi baar aapne dekha bhi hoga
iPhone X vs Samsung S9
saare features ek jagah likhe hote hain
uske baad buying ka link hota hai
product koi bhi jeete, hum hamesha jeet jaayenge
comparison mein
app logo ko deals de sakte ho
logo ko pata ho yaar deal Vishal dhoond ke laata hai
hamare liye
deals Savita dhoond ke laati hai hamare liye
deals de sakte ho, aap coupon sites ke saath
affiliate ho sakte ho, aur deals ke baare mein
logo ko update kar sakte ho
jis bhi affiliate network ya site ke saath aap judey ho
wahan pe poora system hota hai jahan pe aapko
earnings aapki nazar aati rahengi
aap usko check kar sakte ho
jaise-jaise aapke blogs pe, videos pe ya posts pe
traffic badhta hai
ya fir jaise-jaise aap zyada logo tak apni baat
ko pohucha rahe ho,
waise-waise aapki conversions badhti hain
aapko dheere-dheere idea hota jaayega
kitne log post ko dekhte hain
aur kitne convert hote hain
aapko apne numbers clear hote jaayenge
dekho iska itna fayeda hai jab aap ye karte jaaoge na
aap marketing ko samjhte jaaoge
consumer dynamics, consumer behavior
apni audience ko samjhte jaaoge
kya likha toh unko pasand aaya
kya likha toh unko pasand nahi aaya
kaisi video unko achi lagi, kaisi post unko achi lagi
itna kuch aap iss poore ecosystem
ke baare mein samajh paaoge
aur affiliate marketing ka itna bada fayeda
aapko na packaging ki tension leni hai,
na delivery ki tension leni hai
na apne product ki manufacturing ki tension leni hai
na koi dukaan ki tension leni hai
aapko sirf sell karna hai
aur scope isliye badh jaata hai ki aapko apna product
sell nahi karna, aapko dusro ka karna hai
toh scope bohut wide ho jaata hai
in fact, commission dekho aap
agar aap services bechte ho kisi tareeke ki
toh kayi baar commission 80% tak jaati hai
products pe 10-15% tak jaati hai
itna potential aapke liye iss business mein hai
aur digital ho raha hai India, grow kar raha hai
toh aap iss growth mein kitna fayeda lene wale ho
ye aapke upar hai
kitna khud ko evolve karoge saath-saath
kitna seekhoge, woh aapke upar hai
ek cheez zaroor kahuga
aasaan hai.. aasaan hai, koi rocket science nahi hai
bohut basic cheezon ko samajhna hoga aur hota jayega
lekin, patience chahiye hogi
day 1 pe aisa nahi ki aapne blog likha aur
laakho log aapke blog pe aa gaye
time lagta hai, dheere-dheere banta hai
dheere-dheere logo tak pohuchoge
achi cheezein bata rahe ho, acha likh rahe ho
acha suna rahe ho
achi cheezein un tak pohucha rahe ho
toh log judte jaayenge
aapko aage recommend karte jaayenge
aapke saath aapki audience ka ek trust banta jaayega
ek loyal audience aapki create hoti jaayegi
uske baad unko.. unki help karo, basic purpose kya hai?
business is helping people
jo maine bola na, vishwaas se chalta hai, paise se nahi
toh achi-achi cheezein dhoond ke laao, unki help karo
woh purchase karenge, aapko aapki mehnat ka
reward milega, issi tareeke se log kamaa rahe hain
aap bhi kamaa paaoge
so, post kaisi lagi?
kaam ki lagi, toh comments mein zaroor batana
aur jab aap affiliate ke through grow karna shuru karo
toh apne progress ko mere sath zaroor share karna
mujhe aapki mails padh ke
hamesha bohut acha lagta hai
agar aap mere saath jude rehna chahte hain
aise updates, aisi knowledge, aisi post,
aise documents aap tak pohuchte rahein
aap ‘bail iconc’ pe click kar sakte hain
apni email de sakte hain
main aur meri team aapko updated rakhenge
doston, phir milenge agli post mein
stay blessed! stay inspired!
and I love you all!
दोस्तों आशा करता हूँ कि आप को Easy Way To Earn Money Online इस पोस्ट से अवश्य लाभ हुआ होगा।
अगर आपको ये पोस्ट पसंद आयी है तो इसे आप अपने सभी Friends के साथ शेयर जरूर करें।
हमें Comment करके ज़रूर बताये।
इस पोस्ट को लास्ट तक पड़ने के लिए दिल से आप सभी का बहुत बहुत धन्यवाद!

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *