March 28, 2024

Best Hindi Love Poetry | Best Short Love Story in Hindi | Hindi Poems on Love

Hindi poems on love

 

Mere unka zikar

“Apne baare m bas itna kahungi ki ,
Mere unka zikar,
main sareaam nahi karti,
mere unka zikar,
main sareaam nahi karti
aur main
unemployed engineer hun yr ,
likhne ke Siva koi kaam nahi karti”
Meri iss Kavita ka shirshak hai ,
 

“Tum The”

toh suno , un dino mehez 16 – 17 saal ki thi m
un dino mehez
16 – 17 saal ki thi m aur
raaton ko jagni ki yeh meri aadat nai nai thi
tumhe tabhi tih notice karna shuru kiya tha maine
aur tumhare sath hone par
mujhe jo milti thi voh rahat nai nai thi
pta hi ni chla yeh mulaqat kab aadat ban gai
aadat kab zarurat , aur zarurat kab chahat
shayad ladakpan ki voh meri pehli si
mohabbat nai nai thi
uss samay, iss junoon, iss fitoor
us sukoon ka ehsaas toh pehle  kabhi hua hi ni tha
kyunki
tum the mere paas
aise , jaise koi nahi tha
tum the mere paas aise jaise koi nahi tha
yaad hai mujhe , yaad hai mujhe
jab m thak haar kar ghar aya karti thi
aur tera chehra dekh kar
phir se khil jaya karti thi , gehua  sa vo rang
gehua sa tera vo rang na jaane kaisa jaadu karta tha
yaar you have no idea
m toh mehez teri khushboo se behak jaya karti thi
aur uss waqt , uss waqt, uss pal, uss lamha
tum the , mein thi
uss lamha, tum the aur m thi
humare darmiyaan aur koi nahi tha kyunki
tum the mere paas aise , jaise aur koi nahi tha
remember un dino sardiyon  ki raaton m
sab ghar wolon ko sula m chatt par aa jaya karti thi ,
remember un dino sardiyon ki raaton mein,
mein sab ghar walon ko sula
chatt par aa jaya karti thi , aur kabhi tujhe
aur kabhi uss chand ko bs takti chali jaati thi
tum aur chand
tum aur chand  bohut concentration se sunte the mujhe
jab m apni novel m harf dar harf
padhti chali jaati thi
tum aur chand bohut concentration se sunte the
mujhe jab m apni novels m se vo harf dar harf
padhti chali jaati thi aur tumhara temperature
humesha mere body temperature se zada rehta tha
tumhara temperature humesha mere body temperature se
zada rehta tha , shararti si m
shararti si m, tumhe apne dono hathon m kas
pakad baith jaya krti thi, aur dheere dheere
aur dheere dheere  bikharti si uss chandni raat
jab mere labon ko tumhara sparsh hota tha
meri saanso m maano , teri garmahat ki mishri si ghul jaya karti thi
aur iske aage ki kahani m aksar
tere nashe m choor ho bhool jaya karti thi
aur uss tarah toh mere vajood m aur koi smaya hi nahi tha
kyun ki tum the mere paas aise
jaise koi nahi tha
ki jaanti hun m
ki jaanti hun m aajkal dooriyan zara badhne lagi hai
ki jaanti hun m aaj kal yeh dooriyan zara bhadne lagi hai
aur mujhe star bucks aur juice corner par
kisi aur ke sath dekh
tumhari thodi si toh jalne lagi hai , par yaar
tum toh waqif hi nahi meri mohabbat ki hadd se
yeh coffee , beer aur nimboo pani
sab time paas hai yr , kyunki my dear cup of TEA
meri yeh zindagi tujce hi toh chalne lagi hai
toh jaan-e-bahaar , gule–e-gulzaar
ab aise naraz na ho yaar , kyunki jitna tujhme hai
jitna tujhme hai utna nasha toh cigerette
aur sharabon m nahi hai , issiliye
tu hai mere paas aise jaise aur koi nahi hai
-Shweta Singh
 
दोस्तों आशा करता हूँ कि आप को इस पोस्ट Hindi poems on love से अवश्य लाभ हुआ होगा। अगर आपको ये पोस्ट पसंद आयी है तो इसे आप अपने सभी Friends के साथ शेयर जरूर करें। अगर इस पोस्ट से रिलेटेड कोई भी समस्या आ रही हो, तो हमें Comment करके जरूर बताये। इस पोस्ट को लास्ट तक पड़ने के लिए दिल से आप सभी का बहुत बहुत धन्यवाद!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *